Religion: Syedna Husain Radi ALLAH Taala Hanho
Syedna
Husain Radi ALLAH Taala Hanho
(Bakhtiar Nasir, Lahore)
Tareekhe
Islam Main Jo Naam Sadyun Say Jagmaga Raha Hay Aur Taa Abad Jagmagata Rahay Ga
Woh Paghambare Azam Hazrat Muhammad (P.B.U.H) Kay Chaheetay Nawasay Syedna
Husain Radi Alaah Taala Hanho Ka Hay. Aap Nain Zulmo Jabr Kay Saamnay Jukhnay
Say Inkaar Kya Aur Is Zimn Main Sar Katana To Gawara Kar Lia Magar Apnay Moqaf
Par Qaim Rah Kar Himmat O Istaiqamat Ki Aik Lazawal Misaal Qaim Ki.
Kufa Kay Logon Nay Bad Ahdi Ki Aur Aap Ka
Saath Chor Dya Magar Phir Bhi Aap Nain Apnay Mojuda Jaan Nisaroon Say Yahi Kaha
Kay Un Main Say Agar Koi Unhain Chorna Chahta Hay To Us Ko Ijazat Hay. Magar
Chashmay Falak Nay Dekha Kay Jin Kay Jazbay Sadiq Thay Woh Akhir Dam Tak Datay
Rahay Aur Tareekh Main Apnay Namoon Ko Amar Kar Liya. Barkhalaf Is Kay Mukhalif
Quwatton Kay Log Jo Agarchay Kehno Ko Musalman Thay Magar Un Ko Aab Tak
Mallamat Aur Nafrat Ka Nishana Banaya Jata Raha Hay Aur Qiamat Tak Yeh Sissilla
Chalta Rahay Ga.
Allam Iqbal Nay Kya Khub Khiraje Aqeedat Paish
Kya:-
Insaan Ko Baidar To Ho Lainay Do
Har Qaum Pukaray Gi , Hamaray Hain Husain
Waisy Bhi Iman Ka Taqaza To Yehi Hay Kah
Sihabay Kiraam Aur Ahle Baite Tahaar Say Bughaz Rakhnay Ki Bajay Un Ki Muhabbat
Aur Taalimaat Ko Apni Zindage Kay Mission Main Shamil Kya Jay Taakay Islam Ham
Say Jis Amali Paikar Ka Taqaza Karta Hay Us Par Ham Puray Utar Sakain.
0 comments:
Thanks for Commenting....